Naya Jahan

Khoay thay subhon mein ya shamon mein
Hosh nahin tha koi
Aur rahon se thay na’ aashnaan

Kuch bujhee sham’ein yaad ki,
Kuch bhoolee bataib uss ke baad ki
Sapnay huay thay woh gum kahan?

Kabhi naa bujhein, jal uthain gi rahain
Hamsafar jo milkay aagay chalein to..
Mil jayay gi manzil
Mil jayein ge yeh dil
Bardhta rahay ga yuheen karvaan

Dil mein hain yeh jo armaan
Jo yaadon ke nishan
Kesay hum bhoolein gay?
Ho gi jo aarzoo jawaan
Choonay humee ko ayay ga aasmaan
Hum dhoond hi lein ge naya Jahan

Yaar meray jaagay
Jawaan munn bolay yeh
Kahan hum hain

Raahon mein na rung bolay ung dolay naahin
Koi munn mein russ gholay naahin
Kesay koi jeeya maanay
Hain who ajnabee?

Umangein nayee jag uthee hain dil mein
Soaay huay rahee jaagay hain

Yeh sabhi ne dekha
Mitt gayay hain faaslay
Kitnay yaqeen se hain ayay yahaan

Hum kesay bhoolein ge in yaadon ke nishan
Waadon ke nishan
Manzilon ko choo lein ge!

Written by Sabir Zafar