Aarzoo

Chor meree bayyan re
Dekh na yahaan
Aana Nahi…
O’ meray saiyyan re
Dur mein wahaan
Aur meray…
Sawaal ka jawaab do!
Pukaar hai awaaz do!
Kis ka qusoor hai?
Kyoon khushyan mujh se dur hain?
Meray dil mein kyoon Nahi hai…

Aarzoo?

Kho gayay hain hum tum kahaan?
Ho gayay hain kyoon bezubaan?
Bhoolay se Nahi phir milain
Dhoonday thay kabhi jo nishaan!
Zindagee se roothay
Aansoo’on mein doobay
Dur hain kahan?

Bol meray saiyyan re
Dekh tu yahaan
Choree teri hain mein ne baiyyan re
Dur tu wahaan
Kesay teray…
Sawaal ka jawaab doon?
Kahaan hun mein, kahaan hai tu!
Kesa yeh shor hai?
Teray dil main kyoon yeh chor hai?
Iss jeewan ki Nahi hai…
Aarzoo!

Hum bhool ja’ain gay woh yadain sabhi
Woh rangon se saji huee jo dunya thee kabhi
Janay kyoon?…
Ab so gayay, meray chaand au taaray
Hum kho gayay…
Hum haaray!

Written by Ali Hamza

Share this
  • Twitter
  • Facebook
  • Digg
  • del.icio.us
  • Ping.fm
  • email
  • Print